Help Principal Threatening Students to Death to Take Back Cmhelpline Conplaint. Malhar Ashram Sandipani School, Indore, Madhya Pradesh Repost, UpVote, Share on own Social Media.
Ham log malhar ashram school indore ke students h... Super 100 exam hota h mp mein jisse merit ke thet kabil 100 baccho ko neet aur jee ki couching govt provide krti h...lagbhag 3,4 mahine se ham log sir se kah rhe h building, pine ke pani, washroom ka fans, par sir kuch nhi krte... Building itni khrb ho gyi h ki diwal mein full grown ped h floore mein chuhe ki bills h... Pine ka pani nhi h hostel mein... Bhr se bhr kar lana padta h..2,3 hood ke sarri ki sarri toilet choak h har dusre din potty upar aa jati h... Sbb se pareshan hokar ham log ne principal ki complaint kar di CMHelpline par toh principal yeh sb dhamki de rha tha... Aur baar baar akele us ladke ko office mein bula kar pareshan kar rha hai..
Upar se jahan tak hamme pata h yeh sir ka promotion hone wala h 1-1.5 mahine mein aur ye hi DEO banne wale hain...
Yeh principal mein baat krne ki tammez bhi nhi h... Ch*tiya, g*ndu, jaise words use krte h students ke liye..
Abhi jis bacche ne complaint kari thi usse firse dhamkaya vo ek student ke liye mess se khana hostel la rha tha... Toh principal ne firse pakad liya... Aaur T.C ki dhamki dene lga.
I Request you all.. if you are able to, share this on your own social media, Repost it, UpVote it, agr aap me se koi jisi media ya news outlets ko janta ho unhe bheje, aap bhi hamare liye CMHelpline par complaint kar skte h (kyuki ham krte h toh hamara number aur naam principal ko pta chl jata h aur fir vo particular ussi bacche ko bula kar harras krta h)
Agr aap aur kisi bhi trh se support kr skte h toh please... It will help us to bring our issue to a larger audience and authorities too.