Ek, Do, Teen- Episode 16 Inteqam
Mama ghar aa chuki thin. Apni ammi ke inteqal ki khabar ne unhein nidhaal kar diya tha.
Nani unke paas baithi thin; kabhi unka haath sehlaatin, kabhi unke maathe ko choomtin, aur phir beech beech mein bheegi aankhon se meri taraf dekhtin.
Main ab bhi Mama aur Daddy ke kamre mein soti thi. Mama ki ammi ko dekhe mujhe chaar mahine ho gaye thay. Unke ghar jaana taalte taalte itna waqt guzar gaya aur ab unse aakhri mulaqat bhi na ho saki.
Pata nahin kyun, us waqt mujhe unke haath ke meethe parathe yaad aaye. Jab bhi main unke ghar jaati, woh mere liye ek aur paratha bana kar rakh detin—unhein pata tha ke main dobara zaroor maangungi.
Aaj Baba ko aana tha. Nani subah se baar baar deewar par lagi ghari dekhti rahi thin. Asar ki namaz ke baad Daddy bhi drawing room mein aa kar baith gaye.
Theek 3:45 par ghar ki ghanti baji.
Daddy ne darwaza khola to saamne Baba khare thay. Unke pur-sukoon chehre par halki si muskurahat thi. Unke peechhe unka beta Abdul Rehman tha, jis ke haath mein ek thaila tha.
“Assalamu alaikum, Baba.”
“Wa alaikum assalam, beta.”
Baba andar aaye to Mama aur Nani sofe se uth khari huin. Salam ke baad Baba ne Mama ki taraf dekha.
“Kaisi ho, beti?”
“Ji, theek hoon, Baba.”
“Allah aap ki walidah ki maghfirat farmaye.”
Mama ne dheemi aawaz mein “Aameen” kaha. Baba ne unki walidah ke liye dua ki. Dua khatam hui to unhon ne Daddy se poochha,
“Beti kahan hai?”
“Is taraf, Baba.” Daddy ne apne kamre ki taraf ishara kiya.
Baba Abdul Rehman ke saath kamre mein aaye. Main jaag rahi thi.
“Assalamu alaikum, beti. Kaisi ho?”
“Wa alaikum assalam.
Theek hoon,”
main ne dheere se kaha.
Baba mere palang ke daayin taraf baith gaye. Abdul Rehman unke peechhe khara raha.
Baba ne Nani se mitti ka ek katora mangwaya. Nani katora le aayin to Baba ne Abdul Rehman se kaha,
“Abdul Rehman, taveez do.”
Abdul Rehman ne thaile se taveez nikala aur Nani ke haath se katora le kar dono cheezein Baba ko de din. Baba ne taveez katore mein rakha aur use jala diya.
Pehle kaaghaz ka ek kona sulga. Dekhte hi dekhte us taveez se aag ki oonchi, neeli aur kaali laptein uthne lagin. Un lapton mein kuch ajeeb si shakalain banti aur bigarti nazar aayin.
Poore kamre mein jalte hue taveez aur mitti ki aisi bhari, ghutan bhari boo phail gayi jis ne dam ghotne ka ehsaas paida kar diya. Mujhe bas itna hi yaad hai...
Aur phir...
Ghar ke is andhere kamre mein, us dhuain ke peeche, woh haazir ho gayi thi jis ke liye Baba ne taveez jalaya tha.
Kamre mein achanak sard leher daur gayi, aur deewaron par saaye ajeeb si shakalain banate hue hilne lage.
Meri kalaiyon par dhaage ab bhi bandhe thay, magar un mein ajeeb si tapish mehsoos ho rahi thi.
Main ne pehle Baba ki taraf dekha—unki aankhon mein thahrao tha—phir peeche khare Abdul Rehman ko dekha, aur aakhir mein meri nazar Nani par ja kar thehar gayi jo thar thar kaanp rahi thin.
Phir main ne apna rukh dobara Baba ki taraf kiya. Mere chehre par ek aisi muskurahat aayi jo insaani nahi thi.
Jab main ne apna munh khola, to aisi bhaari, andheri aur dabi hui aawaz nikalne lagi jo kamre ki deewaron ko hila rahi thi:
“Abdul Jabbar…”
Kamre ki khamoshi is ek naam ke wazan se laraz uthi. Deewaron par phaile saaye achanak thehar gaye, jaise kisi anjaan wajood ne apne shikar ko pehchan liya ho.
Baba ke chehre par ek lamhe ke liye bhi khauf ka koi nishan nahi aaya. Unhon ne mitti ke katore mein bachi raakh par nazar jamaye rakhi aur bhaari, pur-waqar aawaz mein bole,
“Kaun hai tu, jo is masoom ke wajood mein chhup kar baithi hai? Apna asli roop aur maqsad bata.”
Mere hont ek be-reham muskurahat mein phail gaye. Gardan ek jhatke se daayin taraf jhuki, aur aankhon ki putliyan oopar ko palat gayin.
“Main to bas ek musafir hoon, Abdul Jabbar,”
mere gale se ek khurdari, ghair-insani aawaz nikli.
Ek mard ki aur dusri aurat ki,
“Bhookha tha, thaka hua tha… is ghar ki khushbu ne khinch liya.”
Baba ne unki aankhon mein aankhein daal kar kaha,
“Jhoot mat bol. Mere saamne jhoot ka parda nahi chalta. Agar tu ne sach na bataya aur is bachi ka jism na chhora, to is aag aur kalaam-e-ilahi ki lapton mein tujhe jala kar khatam kar dunga.”
Main zor se hans pari. Woh hansi kamre ke andhere mein goonji to Mama aur Daddy sahm kar peeche hat gaye.
“Jala dega?
Tu mujhe jala dega, budhe?” meri aawaz mein mazaaq aur zeher ghula hua tha. “Khud ko dekh, phir baatein kar. Tere bas mein kuch nahi hai!”
Achanak, kamre ka darwaza ek zor se khula aur Dharam! ki aawaz ke saath khud-ba-khud band ho gaya. Kundi oopar neeche hone lagi, aur lounge se aage barhte hue doosre darwazon ke khulne aur dham se band hone ki ghan-garaj poore ghar mein goonj uthi.
Isi pal, kamra itna thanda ho gaya jaise kisi ne barf ki silli rakh di ho. Saans lete hue munh se bhaap nikalne lagi, aur Mama aur Daddy ke haathon par rongte khare ho gaye.
Thandak ke saath hi ek ajeeb, ghinoni badboo—jaise purani band qabar, sadan aur jalti hui gandhak mili ho—kamre mein phail gayi.
Baba ne apni nazar peeche khare Abdul Rehman ki taraf ghumai.
“Abdul Rehman, woh thaila lao.”
Abdul Rehman ne aage barh kar kaale thaile mein se ek purani, maili aur ajeeb si guriya nikali aur Baba ke haath mein de di. Us ki aankhein, bikhre baal aur us par chhaya andhera dekh kar aisa laga jaise us guriya mein koi jaan ho.
Baba ne us guriya ko oopar utha kar Nani se poochha,
“Yehi woh guriya hai?”
Baba ki aawaz mein ab ek sard, qata'i lehja tha.
“Ji Baba.”
“Is ki wajah se tu is ghar mein, is bachi par qabza kar ke baithi hai. Ab dekh… tere saamne main is ko jalata hoon.”
Guriya ko dekhte hi mere chehre ki hansi ek pal mein ghayab ho gayi aur aankhon mein wehshat ubhar aayi. Badboo aur tez ho gayi, aur darwaze phir se khul kar zor se takraye.
Baba ne apna munh khola aur kisi pur-asar zuban mein kuch parhna shuru kiya.
Jaise hi Baba ke lafz hawa mein goonje, mere gale se bhi doosri aawaz mein ulte aur ajeeb alfaaz nikalne lage—jaise andar baitha jinn muqabla karne ki koshish kar raha ho.
Magar Baba ruke nahi. Woh musalsal parhte ja rahe thay, aur har aayat ke saath guriya par kaala dhaga lapette ja rahe thay.
“Aaaah!”
Jis lamhe Baba ne guriya ke gird pehla dhaga kasa, main bed par tarap uthi. Jaise hi Baba doosra dhaga bandhte, mere jism mein aise dard ki leher daurti ke meri cheekh nikal jaati.
“Band kar…
mat bandh…
rok isay!”
meri aawaz phat rahi thi, kabhi bachi ki to kabhi kisi boorhe, sakht wajood ki.
Teesra dhaga khinchte hi mere munh se ek aisi dardnaak cheekh nikli ke Nani ne dono haath kaanon par rakh liye, aur Daddy be-basi se deewar ke saath lag gaye.
Har dhaage ke saath kamre ki barf jaisi thandak aur jalte baalon, gandhak aur sadan ki badboo mein ajeeb si aag barhti ja rahi thi.
Phir achanak darwazon ka shor ekdam ruk gaya. Kamre ki hawa jam si gayi. Meri saans rukti hui mehsoos hui, mere honton se khoon ki ek patli si lakeer beh nikli, aur ek aisi aawaz nikli jis ne sab ko pathar kar diya:
“Zalqara…”
Jis lamhe mere munh se yeh naam nikla, poore ghar ki light ek jhatke mein chali gayi.
Kamra mukammal andhere mein doob gaya, aur baahar se ajeeb o ghareeb aawazein uthne lagin—
kutton ke bhaunkne aur rone ki ajeeb si sadaein, billiyon ki dardnaak cheekhein, aur un ke peeche hawa mein ghulti hui jinnat ki dabi hui, shor-bhari goonj.
Zalqara apne qabilay ki behad zaalim sardar thi, jis ka naam lena bhi ek qehar tha.
Andhere mein bhi Baba ke chehre par ek gehra, pur-sakoon itminaan ubhar aaya.
Unhein koi hairat nahi hui—jaise woh pehle se jaante hon ke is ke peechhe Zalqara ka haath hai, aur bas woh andar baithe jinn se yeh iqrar karwana chahte thay.
Daddy ne daraz se torch nikal kar usay on kiya. Is halki peeli roshni mein mera chehra aur bhi khaufnak lag raha tha.
“Zalqara ke hukum par main ne is par qabza kiya hai,”
main andhere mein haanpti hui, tooti aur sard aawaz mein boli.
“Ab tu bhale mujhe maar de… par is bachi ko nahi chorenge!”
Torch ki us kanpti hui peeli roshni mein Baba ne apni nazar mitti ke katore par jama di.
Phir unhon ne dheere se apna haath aage barhaya—aur us thandi, jami hui raakh ko apni ungliyon mein bhar liya.
Ek pal ko kamre ki hawa jaise tham si gayi.
Agle hi lamhe, Baba ne kisi aakhri faisle ke jaise apni ungli mere maathe ke beechon-beech rakh di.
Jis lamhe us raakh ne meri jild ko chhua, yun laga jaise kisi ne mere maathe par dhehakti hui aag ki mohar laga di ho! Mere andar chhupa woh andhera wajood ek aakhri baar baukhlaya mere gale se ek aisi khaufnak, phati hui cheekh nikli jis ne kamre ki deewaron ko hila kar rakh diya aur phir meri aankhon ke saamne har cheez kaali hoti chali gayi… aur main be-jaan si ho kar bistar par gir pari.
Mujhe is tarah be-jaan sa girta dekh kar Mama ke hosh urh gaye. Unke munh se ek be-bas pukar nikli
“Shahzia!”
Kamre ke andhere mein woh aawaz aise goonji jaise kisi ne khamoshi ka sheesha tod diya ho.
Baba apni jagah se bare itminaan aur sukoon se uth khare hue, raakh wale haath jhaare, aur Nani ki taraf murh kar dheere se bole,
“Yeh filhal neend ki gehraiyon mein chali gayi hai. Woh jo is ke wajood ke andar baitha tha, ab bohat kamzor parh chuka hai… ab woh kuch nahi kar sake ga.”
Nani ne aage barh kar dheemi, kanpti aawaz mein poochha,
“Ab aage kya karna hai? Ab to waazeh ho gaya ke is ke peechhe wohi Zalqara hai… itni aasaani se to woh haar nahi maanegi.”
Baba ne aahista sa sar hilaya.
“Haan, jaanta hoon. Is ke liye mujhe aadhi raat ko chille par baithna hoga… aur usay khud bulana hoga.”
Baba aur Nani abhi yeh baatein kar hi rahe thay ke Mama aur Daddy kamre se baahar aaye. Chehron par wehshat aur uljhan ke saaye thay. Mama ne aage barh kar Nani se poochha,
“Yeh Zalqara kaun hai, khala jaan?”
Nani ne pehle ek gehri, tatolti hui nazar Baba ki taraf daali phir mudh kar us andhere kamre ki taraf dekha jahan Shahzia behosh pari thi, aur aakhir mein ek lambi, bhaari saans khinch li aur kaha
“Zalqara….”